Lehron se Darkar nauka par nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,
chadhti deewaron par, sau bar phisalti hai.
Man ka vishwas ragon mein saahas bharta hai,
chadhkar girna, girkar chadhna akharta hai.
Akhir uski mehnat bekar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.
Dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai,
ja ja kar khali haath lautkar aata hai
Milte nahi sahaj hi moti gehre paani mein,
badhta dugna utsah isi hairani mein.
Muthi uski khali har bar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahi hoti.
Asaflta ek chunauti hai, ise sweekar karo,
kya kami reh gayi, dekho aur sudhar karo.
Jab tak na safal ho, neend chain ko tyago tum,
Sangharsh ka maidan chhodkar mat bhago tum.
Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.
- Harivansh Rai Bacchan
No comments:
Post a Comment